Sunday 14 July 2013

The one true GOD

Ishwar ek satya ........,ya satya ka dusra naam hai ishwar dono main ek samanta hai ishwar main satya nihit hai or satyata main hi ishwar ka niwas,
"Satyam shivam sundaram "......
Es vakya main satya hi shiv hai or shiv hi sundar yanha satya ke sath ab sundarta ka samavesh hai ya yah kah sakte hai Jo sundar hai wahi satya hai,
Ishwar ki satyata ko kisi sakshaa ki aavashyakta nhi pr espast hai koe hai Jo phoolo main rung bharta hai koe hai Jo Hume urja deta hai wah ishwar hi hai Jo surya ko purva se pachchim tak Jane ki anumati deta hai koe hai Jo vatavaran ko santulit kar ke rakhta hai es aakhil bramand ko keval ishwar hi sanchalit kar sakta hai ,
Muje ek kissa yaad hai main ek din bazar me ek moorti lene gya muje moorti toh pasand thi pr mene moortikar se kaha kya tum muje bilkul essi hi moorti ek or bana sakte ho bus main usme thodi muskurat or dekhna chahta hu moortikar ne kaha Han kyo nhi vanha muje ek baat dimag me ayi yah kitni aasani or vishwasniyta se kah rha hai ki me essa kr sakta hun..,
Ussne muje agle din aane ko kaha me agle din gya toh kaha me koe bhagwan nhi hun shab AAP yahi moorti le jao aapki moorti me muskurat dalne me mera bahut nuksaan hua hai ,,,,,,,
Mene socha Han yahi satya hai or eshwar hi esa Kar sakta hai hum sab ko banane ke liye uske pass bus selected item hai jaise 2 aankhe 2 kan 1 naak 2 pair 2 haath etc pr phir bhi hum sab ki Surat ek dusre se bhinn hai karodo logo ko banane ke baad bhi uski karigari me jara bhi antar nhi aaya yah toh bus ishwat hi kar sakta hai toh tathya sidha samaz hai hamara hona hi eshwar ka praman hai hum karodo hokar bhi ek jaise nhi yahi eshwar ki satyata ka saksha hai .
@nurag sharma

No comments: