Saturday 20 July 2013

Teesri duniya. Pulling us to madhushala from paathshala...,

"paathshala or madhushala" main ek nimn sa antar hai pr samanta yah hai ki yah dono hi ek ras hai.
Ek gyan toh dusra aagyanta ka.,
Gyan ka ras shershth hai aagyanta me madhushala ko isliye bhi kahunga kyoki aagyanta ki paribhashh bhi yahi hai " na janna ".,
Pr eska khandan ab sambhav hai ab toh aagyanta nhi gyan hote hue bhi hum bahi karte hai jo humare liye theek nhi,
Log kahte hai nasha kr behoshi aati hai pr main manta hun ki hum behosh hokar hi nasha karte hai toh behoshi nasha karke nhi aapitu nasha karne se pahle aati hai ,
Swami ji ne kaha tha jab tak deepak prajwalit na ho aandhkar se picha nhi chudaya ja sakta ,
Humare pujney bapu ji ka bhi kahna tha jab unse pucha ki aandhe hone se bura kya hai unhone kaha aankhhe hote hue bhi naa dekh pana aandhe hone se bhi bura hai,
Aaj ka yuva puri tarah nashe ki giraft me hai,
Bhartiye samvidhaan me bhale hi giraftar mujrim ko phansi ka pravdhan na ho pr es nashe ki teesri duniya me esa nhi yanha pahle umarkaid hoti hai fir mout,
Aaj nashe ki aadaton ke chalte manushya itna jahrile ho gya ki vah bhi kisi sarp or bichoo se kam nhi pahle yah khabre aam thi ki kisi sarp ke katne se manushya ki mout hue en jahrile jeevo ka bada khauf tha or yah apne aap ko bramand ka sabse surakshit jeev mante the pr samay parivartan ki dasha main hai wo din dur nhi jab sarpon ki mandli me yah charcha hua karegi "aaj humare ek sathi ki insan ka nivala bana",
Videshon me yah parampara prarambh bhi ho chuki hai ,
Mera manna hai manushya ka shakahaar se mashahar tak jane ka jariya yah nasha hi hai ,,
Teesri duniya ko janne Teke liye main kae logo se mila nashe ke karan ko janne ki koshish ki
Mujhe kae tarah ke jawab mile pr ek sajjan jinhone mujhe aashcharychakit kr diya unhone kaha main nasha kar es bhotikbad se upar uth jata mere puchne pr ki aap bhotikbad ke bad jate kanha ho unka javab tha ek nai duniya suru hote wo hai "Teesri duniya "..........
Sachchai bhi nazar aati hai yah sach hai aap nashe ke sevan ke bad uske aadhin ho jate hai yanha bhi sarcus ke khel jaisa hai aap bahi dekhoge jo bo dekhana chahega nashe ki duniya ka haal yahi hai aap uske gulam ho aapko bahi karna padega jo vo chahega
Main apne prashno ka pitara lekar chal diya par ek bad mujhe badi hasyapad lagi "bhotikbad " agar laukik jagat se se uthne ka sadhak nasha hai toh bhakti kya hai main toh yahi samazta tha ki alaukik jagat main jane ka marg bhakti hai bhotikbad se upar jane ka sadhak aadhyaatm hai toh fir yah "Teesri duniya " kanha se ayi ...,
Juld hi jawab apne aap se mila ki bhakti kr madhyam se hum bhotikbad se aadhyaatm ki or jate hai pr nashe ke madhyam se hum es duniya ke rahwasi nhi apitu teesri duniya ke rahwasi kahlate.....,
Mera yah lekh un yuvao ko samarpit hai jo nashe ki giraft main hai agar koe ek vyakti lekh se prabhavit ho kar nashe ki teesri duniya se dusri duniya main aata hai main apne lekh ko safal samjhunga .....,@nurag

No comments: