Sunday 21 July 2013

"Guru" A leader of life

Guru hi brahma hai,guru hi vishnu,
Guru hi devo ke dev mahadev hai,
Guru hi es jagat ke sakshat brahm hai......,
Manushya jivan main yah kalpana karna bhi mushkil hai guru na hota toh kya hota ,
Ishwar ne apne aap ko guru ke roop main hamesh apne aap ko humare sath rakha,
Hum sab ishwar ki rachan hai or har wo vyakti jo janm leta hai ek freasher ki tarah hai inexperience or anubhav ka madhyam keval or keval guru hai hum nhi kah sakte ki ishwar ne hume rach kar chodh diya ukt vakya main ishwar ne apne aap ko guru ke roop main apne aap ko manushya ke sath rakha,
Janm se lekar mout tak maa se lekar yam dhuth tak har rah har dagar main ishwar ne humara sath diya fir bhi hum kahte hai "mujhe kyo janm diya".........,
Maa manushya ka pahal guru hai or umar ke har padav par hume apne avashyakata va karya paristhitiy anusar guru prapt hote par guru ka chunav kaisa ho guru kaisa ho yah vichar hume adhyaatm ke jariye prapt hota hai,
Guru par vishwas karna aavashyak hai theek use tarah jaise hum kisi safar main driver par karte hai or chain ki neend so jate hai guru hi humare jivan nikharta or sambhalta hai es jivan ko jine ke layak banata hai main un sabhi mahan guru jano ko sadar pranam or vandana karta hu sath hi guru purnima ke pavan parv pr sabhi gyat va agyat guru jano ki vandana karta hun,
Bhartiye sanskriti sab tak jivit hai guru samahit hote rahegee......,@nurag

No comments: