Saturday 27 July 2013

Save our "Nature"

Badti aabadi or ghatthi saundarya
Vraskhon ka badta akelapan hume nirantar agaah kar raha hai,
Ki hame uchit kadam samay rahte uthaan hi hoga.
Aoudhogikaran ke es yug me prakriti sikudti ja rahi hai,
Vikassheel se lekar viksit hone dagar aasan hai par kabhi socha hai kamyabi hume niyati ka ekshan kar prapt hogi,
nishchit rup viksit rashtra banane ke liye aoudhogikaran or badta infrastructure jaruri hai par es bat main do rah nhi ye dono hi prakriti ke dushman nazar aate hai,
Aoudhogikaran se badta pradushan na balki vraskhon ke liye aapitu nav mein bicharne wale aashank jivo ke liye haniprad hai,
Jise hum bus yahi naam dete hai yah prajati aab khatre mein hai,
Humne kabhi unki suraksha par dyan nhi diya kabhi kabhi toh yah lagta hai ki kuch prajati utpann hi lupt hone ke liye thi,
Kuch ese chote jeev jo prakriti ki dharohar the wo ya toh insan ka shikar bane ya parvaskhkyon unhe nigal gay,
Aoudhogikaran or infrastructure hi akele karak nhi jo prakriti ke badhak hai nav mein vichran karne wale jeev toh yah soch kar apne aap ko uske anukul bana lete hai k pradushan hi unke jeene ka sadhak hai wo en paristhitiyo mein dhal jayenge par jal mein rahne wale jeevon ne kabhi nhi socha hoga ki hum ek asurakshit honge ,
Jal mein chalne wale jahajon se utna pradushan nhi hota jitna humari dharmik dharnao se,
Humari dharmik dharnao ki aad mein hum devi devtao ki aashank matra mein murtiyon ko bana kar unki pooja archana kar unhe jal mein visarjit karte hai yah andhvishvas itna bad gya ki ese rokna sambhav nhi par shasan dwaara kuch salo se kade kanoon banaye gaye hai par wo en jeevo ki jaan bachne ke liye nakafi hai,
Inme itna paisa or manoranjak jhankiyaan lagti hai ki kisi ka dyan inpar nhi jata keval jal jeev hi dharmik dharnao ka shikar nhi hote humare sare parv pradushan se yukt hai chahe wo dipawali ho ya holi koe bhi parv ya utsah bina gulal or atishbazi ke adhura hai janha dipawali deepon ka tyohar tha adhere par roshni pratik tha aah kuch paise walon ka jashn ban gya or prakriti ke liye ek kala din keval dipawali hi nhi holi ne bhi prakriti ko lal kiya hai,
Jal or nav mein rahne wale jeevon ko toh ab mahine tak yaad ho chuke honge ki shamaat kab aani hai,
Shayad manushya or jeevon mein yahi ek bada antar hai "jeev jine ke liye mahaul ke anukul ho jate hai or manushya jine ke liye mahaul ko hi badal dete hai,
Kon kahta hai ki i janwar hoshyar nhi hote wo toh manushya se ek kadam aage hai wo jante hai agar hum prakriti ke anukul nhi rahe toh lupt ho jayenge manushya ko bhi yah sab pata hai par vikas ke naam ki patti ne usse andha bana diya,
"Humari hariyali rang birangi hoti ja rhi hai,
Kabhi janha dikhte the lambe lambe vraksh ab imarte nazar aa rhi hai,
Ye dhara tadaf rhi or ro raha falak dekh raha janha sara ho raha anarth, dhara ka shoshan kar dharohar apni bana raha chus raha lahu dharti ka jal sankat ko bula raha ,
Girte jal sttar or nirantar vatavran ke badlav ne sabka chain hai khicha kanhi sukha toh kanhi andhi kanhi bhukamp ko kabhi ayi Tsunami yah sab prakriti ke hai sanket ki ab toh sambhal jao ,
Mein bus manavat se yah aabhahan kar es lekh ko samapt karna chahonga
"hum na the hum na rahenge humare pahle bhi koe tha or humare bad bhi koe rahega par yah prakriti jaisi thi jaisi hai waisi hi rahegi,",
Humare jaisi kitni hi sabhyatay ayi or kitni hi ayengi hume nishchit hi viksit hona hai par hume ek sundar surakshit hare bhare prakritik rashtra ki kalpana karni hogi,
Vichar na kare thos kadam uthane ki avashyakata hai kanhi esa na ho ek din surya ki kirne sabko jala kar rakh kar de or hum vichar kare ..............,,,,
Ki nirnay us pal liya hota,,,,JSK....,
@nurag from albelaworld

No comments: